Prakiti ke Nazaare |
Woh ugtaa Suraj, woh dhalti sham ki raunak
Woh tez Dhup ki dehek jiska sparsh ruh tak pahunchaaye
Woh halki Baarish ki
thandak jo raahat laaye
Woh Panchhiyon ki behijak udaan gagan ki oar
Woh Parwaton se gunjti
hui jeet ka farmaan
Woh Paedon ka lehraate hue sabko rijhaana
Woh Hawa ka rukh jo mann
marzi badalti
Woh Kaale meghon ki shararat garajti barasti hui
Woh Kheton ki sharmahat haryaali ki chunri oade
Woh Nadhiyon ka ithlaathe hue khusi zaahir karna
Jaise Aasmaan ke taare zameen pe nahi aate
Yeh Prakiti ke nazaare aasmaan mein nahi samaate
No comments:
Post a Comment