Kuch kadam chalte
chalte, ek paakh si aks se roobarooh* hui
Kuch
kahaaniya bayaan kar, khudi ki talaash mein safar ke humraaz banae
Kai mausam
aaye aur gaye, ek andekhi ankahee si haseen dorr si bann gai
Kai aandhiyon
ke aane ke pehel, ek halki baarish bann iltelaah* karte rahe
Jab zehen
me koi fikr ki baat ho, binaa zikr ke hal milnae ka aitbaar* thaa
Jab khushi
ki koi baat ho, uska daayra* unki dua se aasmaan chhoo jaata
Hum
registaan mein jinhe dhuundte rahe, ilm na thaa dehleez* pe hi woh aa milenge
Hum kemea-gar* ke inzaar me khwaab dekhte rahe, woh sukoon se aaye aur rooh ruhaan kar
farishta bann gayae
Khudai ki
raah mein khudi ki pehchaan ek khaas ehsaas se ho gai
Khudai ka paakeez
aashna* jo zindagi ke maksad* ko rahguzar* karr gaya
Rooh*-Se-Roohan* Ki Ruhaani Daastan Bann Gai
kemea-gar* - (Alchemist) dehleez*- (doorstep) iltelaah*- (inform)
aitbaar* - (Trust) daayra* - (limit) Ruhaani* - (spiritual love) rooh* -(soul)
roobarooh* - (meet up) Roohan* - (compassionate) maksad *- (purpose)
aashna * - ('dosti) rahguzar * - ( show the track)
No comments:
Post a Comment