Thursday, July 8, 2021

Rooh-Se-Roohan Ki Ruhaani Daastan

Kutch


Kuch kadam chalte chalte, ek paakh si aks se roobarooh* hui

Kuch kahaaniya bayaan kar, khudi ki talaash mein safar ke humraaz banae

 

Kai mausam aaye aur gaye, ek andekhi ankahee si haseen dorr si bann gai

Kai aandhiyon ke aane ke pehel, ek halki baarish bann iltelaah* karte rahe

 

Jab zehen me koi fikr ki baat ho, binaa zikr ke hal milnae ka aitbaar* thaa

Jab khushi ki koi baat ho, uska daayra* unki dua se aasmaan chhoo jaata

 

Hum registaan mein jinhe dhuundte rahe, ilm na thaa dehleez* pe hi woh aa milenge

Hum kemea-gar* ke inzaar me khwaab dekhte rahe, woh sukoon se aaye aur rooh ruhaan kar 

farishta bann gayae

 

Khudai ki raah mein khudi ki pehchaan ek khaas ehsaas se ho gai

Khudai ka paakeez aashna* jo zindagi ke maksad* ko rahguzar* karr gaya

Rooh*-Se-Roohan* Ki Ruhaani Daastan Bann Gai


kemea-gar* - (Alchemist) dehleez*- (doorstep) iltelaah*- (inform) 
aitbaar*  - (Trust) daayra* - (limit) Ruhaani* - (spiritual love) rooh* -(soul)
roobarooh* - (meet up) Roohan* - (compassionate) maksad *- (purpose)
aashna * - ('dosti) rahguzar * - ( show the track)



A day in the life of a tribal warrior princess

  Where technology rules our lives from the moment we rise, till the moment we call it a day, there are some places pure and pristine where ...